Saturday, December 29, 2012

Afsosh

afsosh ki hum na samjhe the
kis gali,kis daar hum khade the
mahjid mein khade mandir ke ghante ki piche pade the
afsosh ki hum na samjhe the.......

jo caha wo na manga
jo paya wo na bataya
jo hua so hua
phir bhi afsosh hai 
ki hum na badle the

dard mein aankhe na royi thi
par dil ki chot ka ehsash na bataya
dil ki aansuo ka sailab na dikhaya
ho gaye bewafa khud se
par afsosh ki hum begaira the....

afsosh hi afsosh hai
dard hi dard hai
kya karu main
khud  mujhe zindgi se afsosh hai

mund li aankhe maine
mod liya pankh aapna
bhul gaya hu aarman apana
aab to bas yehi hai karna
jidhar le jaye zindgi
udhar hai mud chalna
udhar hi afsosh kar lena
par ho jo bhi
aab khud ko samet kar khush ho lunga
itna khush ho lunga
ki maut k baad bhi khsuhi se afsosh kar lunga.....




No comments:

Post a Comment