Har dard saha
Har khushi banti
Kuch pal roya
Kuch pal muskuraya
Bas aise hi ye saal bitaya
Masti thi, cahat tha
Armaan tha, umeed thi
Raaste the, manzil bhi thi
Kuch rore the, kuch phool bhi
Aisa hi ye saal tha
Chaat gayi dhundli tasveer bhi
Uthi gayi soyi tehreer bhi
Badal gaya din aur raat
Ho gayi sham
Khul gaya jam
Jam aansuo ka dard ka
Band palko ki takrar ka
Nafrat khud ke deedar ka
Dil mein umarti lehro ka
Thami huyi ek ehsash ka
Ho gayi sham
Intezar hai ek nayi subah ka
Aane wale naye saal ka
Maha pralaye ke iss saal mein
Tutenge bikhrenge chuttenge
Aapne avsesho ko dhundenge
Jo bache zinda to yakin hai aisa
Banzar huye zameen ko khodenge
Kahan gaya wo taj mahal issko dhundenge
Iss naye saal aisa hi kuch karenge
Per(tree) bacha jo taar hai
Na phal hai na koi phool hai
Na hi koi chaya hai
Na kuch wo de paya hai
Na kuch wo de payega
Bas dur khada akele mein
Khud hi khud itrayega
Par parlay k baad na pucho
Dard kaise dil mein usske chayega
Par aapni mariyada ko
Wo dur khada itrayega…
Iss naye saal dharti ka
Har wo chotta cheez bhi ro jayega
Jab fatega dil dharti ka
Aansu or khoon bhayega
Naye saal mein dekhna yehi haal ho jayega……..
No comments:
Post a Comment